Dilkash to deewana aur naadaaN Kabhi kabhi
Woh shaqs pehchana sa, to anjaaN Kabhi kabhi
Hai saadgi me noor ke aasmaaN se utra ho
Lagta farishta hai to wo insaaN Kabhi kabhi
AnkhoN ke tere gehre samunder me doob jaaoN
Uthte ye dil me haiN aise toofaaN Kabhi kabhi
Baarish ki pehli boond ne jaadu sa kuch kiya
Bebas behekte hain mere armaaN Kabhi kabhi
Mohtaj alfaaz ki ye mohabbat na thi kabhi
AnkheN hi haal-e-dil kare bayaaN Kabhi kabhi
Khamoshi ab sahi na jaaye,kuch to tum kaho
mujh se gilay hi karlo meri jaaN Kabhi kabhi
Yeh roothne manane ki aada hum bhi sikh jate
Kash koi manane hume bhi aajata kabhi kabhi...
No comments:
Post a comment
Note: only a member of this blog may post a comment.